Poetry / General

Muzammil Shahzad

Duniya main hoon duniya ka talab gaar nahi hoon.
Baazaar se guzraa hoon Kharidaar nahi hoon


Zinda hoon magar zeest kii lazzat nahi baaqii
Har chand ki hoon hosh main hoshiyaar nahi hoon

Is Khaanaa-e-hastii se guzar jaunga belaus
Saayaa hoon faqat naqsh-e-diivaar nahi hoon

Afsurdaa hoon ibarat se dava kii nahi haajat
Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahi hoon

Wo gul hoon Khizaan ne jise barbaad kiyaa hai
Uljhon kisi daaman se main vo Khaar nahi hoon

Yaarab mujhe mehfooz rakh us but ke sitam se
main us kii inaayat kaa talabgaar nahi hoon

Advertisement
· 1 Like · Jul 25, 2016 at 18:07
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS