Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Chalo kuch baat kartey hain...
Us kay shaher main basar
Hum ek raat kartey hain

Sochtey hain sakoon apnaa
Phir say dawaam paa jaye
Zindagee main jo us kay sang
Mayasar, shaam aa jaye

Us kee hon, humaaree hon
Mohabbat main sabhee batain
Jo sab kay lab peh jaree hon

Enhee baton kee khushbu say
Hum apnee raat mahkayen
Us kay aaraz o lab kee
Zufashaanee say chamkain
Har ek tareek lamhey ko
Jo us kay sang nahee beetaa

Mohabbat khail baithaa hoon
Magar us ko nahee jeetaa

Ab yaadon main rahtaa hoon
Jo us ko kah sakaa naa tab
Woh sab batain main kahtaa hoon
Kabhi ghazlon main, shayron main

Shab kay aakharee pahron main
Usee ko sochataa rahtaa hoon

Jo koi dost aa jaye
Usay itnaa hee kahta hoon
Chalo kuch baat kartey hain....

Advertisement
· 1 Like · Jan 17, 2015 at 05:01
Category: friendship
 

Latest Posts in poetry

Apple Juice
Posted by haseeb raza
Posted on : Jul 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS