Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Tujh Say Mil Kar Tu Yeh Lagta Hay Ae Ajnabi Dost
Tu Meri Pehli Muhabbat Thi Mera Aakhri Dost

Log Har Baat Ka Afsana Bana Detay Hain
Yeh Tu Duniya Hay Meri Jaan Kai Dushman Kai Dost

Teri Qamar Say Bhi Lipti Hay Amarbel Koi
Meri Chahat Ko Bhi Duniya Ki Nazar Kha Gaye Doost

Yaad Aye Hain Tu Phir Toot Kar Yaad Aye Hain
Koi Guzri Howi Manzil Koi Khoye Howe Doost

Ab Bhi Aaye Ho Tu Ahsan Tumahra Lekin
Woh Qiyamat Jo Guzarti Thi Guzar Bhi Gaye Doost

Teray Lehjay Ki Thakan Mein Tera Dil Shamil Hay
Aisa Lagta Hay Judai Ki Ghari Aa gai Doost

Barish Mang Ka Mosam Hay Meray Shehar Mein Tu
Tu Yeh Sheshay Ka Badan Lay Kar Kahan Aa gai Doost

Mein Usay Aahad-Shikan Kaisay Samjah Loon Jis Nay
Aakhri Khat Mein Yeh Likha Tha Faqat "Aap Ki Doost"

Advertisement
· 1 Like · Jan 20, 2015 at 17:01
Category: friendship
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS