Archives

Poetry / General

Madiha Shahid

Pani Aur Matti Se Keechar Sa Banaya Hoga

· 2 Like · Apr 04, 2018 at 17:04
Category: general
 
Poetry / General

Abdul Kareem

Cheeni Si Gurya Woh

· 0 Like · Apr 04, 2018 at 11:04
Category: general
 
Advertisement
Poetry / General

Obaidullah Khan

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?
Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali
Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi
Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi
Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi
Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di.

#poetry #mohabbat

· 6 Like · Apr 01, 2018 at 08:04
Category: general
 
Poetry / General

Jalaluddin Ahmed

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai
Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa
Bohat Din Saath Mere Reh Lia
Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai
Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai.

#poetry

· 4 Like · Apr 01, 2018 at 01:04
Category: general
 
Poetry / Love

Mohammad Ali Shah

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se
Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se
Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se
Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se
Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se.

#poetry

· 3 Like · Mar 31, 2018 at 18:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Mohammad Afzal

Khushbo Ke Jazeeron Say

#Khushbo ke jazeeron say sitaron ki haddon tak..
Iss #shehar main sab kuch hai bas teri kammi hain..

#poetry

· 3 Like · Mar 31, 2018 at 12:03
Category: sad
 
Poetry / Love

Obaidullah Khan

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun.

#poetry

· 2 Like · Mar 31, 2018 at 06:03
Category: love
 
Poetry / Love

Asiya Faheem

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga.

#poetry

· 1 Like · Mar 31, 2018 at 00:03
Category: love
 
Poetry / Love

Naila Ahmed

Chand Per Uska Thikana Tha

Mujhe Usko MiNnatain Kar K MaNAna Tha
Usey Bhi Dair Hoti Thi
Mujhe Bhi Door Jana Tha
Nibhaty Kis Tarah Aik Dosrey Sey Apni Dosti
Zameen PEy Mera Ghar Tha Chand Per Uska Thikana Tha

#poetry />

· 1 Like · Mar 30, 2018 at 18:03
Category:
love
 
Kon Kon Piye Ga?
Posted by maleeha bukhari
Posted on : Sep 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS