Poetry / Songs Lyrics

Bhout Payar Karte Hain Tumko Sanam

Bhout Payar Karte Hain Tumko Sanam
Kasam Chahin Le Lo Khuda Ki Kasam
Bhout Payar Karte Hain Tumko Sanam

Hamari Gazal Hain Tasawor Tumhara
Tumhare Bin Ab Naa Jeena Gawara

Tumhe Yunhi Chahenge Jab Tak Hain Dam
Bhout Payar Karte hain Tumko Sanam

Sagar Ki Bahoon Me moajain Hain Jitni
Hamko Bhi Tumse Mohabat Hai Utni

Ke Yeh Bekarari, Ab Na Hogi Kam
Bhout Payar Karte Hain Tumko Sanam....!

· 4 Like · Dec 12, 2017 at 14:12
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Akele Na Jana (pak Old)

Akele na jana humeen chhoor kar tum
Tumare binaaa hum bhala kiya jiyeen ge
Bohut dukh deye hain humeen zindagi ne
Humeen aur ghum ab na tum de k jao
Nigahon ki sehmi hui iltejayen
Sadaa de rahi hain k ab lout aoo
Karo yaad tum ne yeh wada kiya tha
Hum ek dusare ka sahara banein ge
Har eik morr par hain riwajon k pehire
Tumhi ko naheen is ka sab ko gilah hay
Magar loog jitay hain in mushkilon main
Hay jin ka naheen koy un ka KHUDA hay
Yeh dukh yeh udasi yeh aansu yeh ahhain
Chale aoo mil k yeh ghum baant leen ge

· 1 Like · Apr 15, 2015 at 02:04
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Mera Pegham Pakistan

Khuda ki khaas rehmat hai
buzurgun ki bashaarat hai
kayee nasloun ki qurbaani
kayee nasloun ki mehnat hai
asaasa hai jiyaaloun ka
shaheedoun ki amaanat hai
jab hee tareekh ne rakha hai
iss ka naam pakistan

andheroun ko mitaaye ga
ujaala ban k chaaye ga
yeh qissa inqilaabi hai
naye duniya banaye ga
agar Allah ne chaaha tou
zamana woh bhi aye ga
jahan tak waqt jaaye ga
isey aagey hee paaye ga
nida qaayed ki hai iqbaal ka inaam
pakistan pakistan pakistan pakistan
mera peghaam pakistan

· 1 Like · Mar 04, 2015 at 18:03
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Khayal Aata Hay

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hay
K jese tujh ko banaya gaya hai mere lye

Tu ab se pehle sitaron mian bas rahi thi kahin
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai mere lye

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
K ye badan ye nigahen maire amanat hain

Ye gaisoon ki ghani chaon hain maire khatir
Ye hont or ye banhen maire amanat hain

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

K jese bajti hai shehnaiyan se raahon main
Suhaag raat hai ghonghat utha raha hon main

Simat rahi hai tu sharma k apni bahon main
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

K jese tu mujhay chahe gi umer bhar yun hi
K uthe gi mere taraf pyar ki nazar yun hi

Main janta hon tug her hai magar yun hi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai...!

· 4 Like · Nov 20, 2017 at 21:11
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Akele Na Jana

Akele Na Jana

Akele na jana humeen choor kar tum
Tumare binaaa hum bhala kiya jiyeen ge
Bohut dukh deye hain humeen zindagi ne
Humeen aur ghum ab na tum de k jao
Nigahon ki sehmi hui iltejayen
Sada de rahi hain k ab lout aoo
Karo yaad tum ne yeh wada kiya tha
Hum ek dusare ka sahara banen ge
Har eik moor par hain riwajon k pehire
Tumhi ko naheen is ka sab ko gilah hay
Magar loog jitay hain in mushkilon main
Hay jin ka naheen koy un ka KHUDA hay
Yeh dukh yeh udasi yeh aansu yeh ahhain
Chale aoo mil k yeh ghum baant leen ge

· 2 Like · Dec 18, 2014 at 04:12
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Ghum Hai Ya Khushi Hai Tu

GHUM HAI YA KHUSHI HAI TU.
MERI ZINDAGI HAI TU.

MERI RAT KA CHIRAGH.
MERI NIND BI HAI TU.

AFTOON K DOOR MAIN.
CHAIN KI GHARI HAI TU.

DOSTON K DARMIAN
WAJH-E-DOSTI HAI TU.

MAIN KHIZAN KI SHAM HUN,
RUT BAHAR KI HAI TU.....

MERI SARI UMR MAIN.
AIK HI KMI HAI TU......

NASIR IS DIYAR MAIN.
KITNA AJNABI HAI TU...

GHAM HAI YA KHUSHI HAI TU.
MERI ZNDAGI HAI TU....

· 7 Like · Feb 11, 2016 at 12:02
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Main Pal Do Pal Ka Shayar Hon

Main pal do pal ka shayar hon
Pal do pal mere kahani hai
Pal do pal mere hasti hai
Pal do pal mere jawani hai
Mujh se pehle kitne shayar
Aaye or aakar chale gaye
Kuch aahen bhar k laut gaye
Kuch naghme ga kar chale gaye
Wo bhi ik pal ka kissa the
Main bhi ik pal ka kissa hon
Kal tum se juda ho jaonga
Jo aaj tumhara hissa hon
Kal or aayen ge naghmon ki
Khilti kaliyan chunnay wale
Mujh se behtar kehne wale
Tum se behtar sunnay wale
Kal mujh ko koi yaad kare
Kyun mujh ko koi yaad kare
Masroof zamana mere lye
Kyun apna waqt barbaad kare
Main pal do pal ka shayar hon
Pal do pal mere jawani hai...!

· 4 Like · Nov 22, 2017 at 04:11
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Mere Haath Mein Tera Haath Ho

Mere Haath Mein Tera Haath Ho Saari Jannatein Mere Saath Hon
Mere Haath Mein Tera Haath Ho Saari Jannatein Mere Saath Hon
Tu Jo Paas Ho Phir Kya Yeh Jahaan Tere Pyar Mein Ho Jaaun Fanaa
Mere Haath Mein Tera Haath Ho Saari Jannatein Mere Saath Hon
Tu Jo Paas Ho Phir Kya Yeh Jahaan Tere Pyar Mein Ho Jaaun Fanaa
Mere Haath Mein Tera Haath Ho Saari Jannatein Mere Saath Hon

Tere Dil Mein Meri Saanson Ko panah Mil Jaaye
Tere Ishq Mein Meri Jaan Fanaa Ho Jaaye

Jitne Paas Hai Khushbu Saans Ke
Jitne Paas Hothon Ke Sargam
Jaise Saath Hai Karvat Yaad Ke
Jaise Saath Baahon Ke Sangam

Jitne Paas Paas Khwaabon Ke Nazar
Utne Paas Tu Rehna Hamsafar
Tu Jo Paas Ho Phir Kya Yeh Jahaan
Tere Pyar Mein Ho Jaaun Fanaa

Mere Haath Mein Tera Haath Ho
Saari Jannatein Mere Saath Ho

Rone De Aaj Hamko to Aankhen Sujaane De
Baahon Mein Lele Aur Khud Ko Bheeg Jaane De
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Woh Chhoot Jaayega
Hai Itna Dard Ke Tera Daaman Bheeg Jaayega

Jitne Paas Paas Dhadkan Ke Hai Raaz
Jitne Paas Bondon Ke Baadal
Jaise sath sath Chanda Ke Hai Raat
Jitne Paas Nainon Ke Kaajal

Jitne Paas Paas Saagar Ke Lehar
Utne Paas Tu Rehna Hamsafar
Tu Jo Paas Ho Phir Kya Yeh Jahaan
Tere Pyar Mein Ho Jaaun Fanaa
Mere Haath Mein Tera Haath Ho
Saari Jannatein Mere Saath Hon

Adhoori Saans Thi Dhadkan Adhoori Thi Adhoorey Ham
Magar Ab Chaand Poora Hai Falak Pe Aur Ab Poorey Hain Ham

· 3 Like · Aug 06, 2015 at 04:08
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Honton Pe Kabhi Un K

Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye
Aye To Sahi Bar-Sar-E-Ilzaam He Aye

Heran Hain Lab'basta Hen, Dilgeer Hain Gunche
Khushbu Ki Zubani Tera Pegham He Aye

Lamhat-E-Masarat Hen Tasawur Se Gurezaan
Yaad Aae Hain Jab B Gham-O-Alam He Aye

Taaron Se Saja Lenge Raah-E-Shahr-E-Tamana
Maqadar Nhi Subho Chalo Shaam He Aye

Yaadon K Vafaaon K Aqeedon K Ghamon K
Kaam Aye Jo Duniya Mei To Is Naam He Aye

Kya Raah Badalne Ka Gila Hamsafaron Se
Jis Raah Se Chale Tere Dar-O-Baam He Aye

Thak Haar Ke Baithe Hain Sar-E-Ku-E-Tamanna
Kaam Aye To Phir Jazba-E-Naakaam He Aye

Baaqi Na Rahe Saakh "Adaa" Dasht-E-Junoon Ki
Dil Mein Agar Andeshaa-E-Anjaam He Aye

· 4 Like · Mar 11, 2016 at 09:03
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Kasam Ki Kasam

Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se
Hum Ko Pyaar Hai Sirf Tum Se
Ab Yeh Pyaar Nah Ho Ga Phir Humse
Log Kehtey Hain Paagal
Hoon Main Yeh Bhi Nah Jano
Dil Lotaya Hai Maine
Ab Kissi Ki Nah Mano
Chain Dey Kar Yeh Maine
Beecheeniya Yeh Li Hain
Neendein Ura Ke Maine
Tum Se Wafaaein Ki Hain
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se
Hum Ko Pyaar Hai Sirf Tum Se
Ab Yeh Pyaar Nah Ho Ga Phir Hum Se
Ek Esharey Main Jo Tum Ne
Hum Se Jo Kaha Hai
Ab Yaqeen Aaa Raha Hai
Tum Ko Bhi Kuch Hua Hai
Kyun Dil Mein Sochtey Hain
Tufaaa Jo Uth Rahay Hain
Hum Us Ko Roktay Hain
Kasam Ki Kasam Ki Kasam Hai
Yeh Milna Hai Sanam Ka Sanam Se
Ab Yeh Pyaar Nah Ho Ga Hum Se
Kasam Ki Kasam
Kasam
Hai Kasam
Di Kasam
Li Kasam
Hai Kasam
Kasam
Kasam Ki Kasam

· 1 Like · Feb 05, 2015 at 05:02
Category: songs-lyrics
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS