Poetry / Political

Mohammed Anwar

Sheher Barbaad Ho Raha Hey Abhi

Sheher Barbaad Ho Raha Hey Abhi
Or Tu Hey K So Raha Hey Abhi

Dekh Weran Ho Raha Hey Jahan
Or Tu Dagh Dho Raha Hey Abhi

Terey Ander Bhi Koi Dukh Main Hey
Merey Ander Bhi Ro Raha Hey Koi

· 4 Like · Nov 06, 2018 at 05:11
Category: political
 
Poetry / Political

Tumhain Kaisay Kahain Aazaad Hain Hum

Tumhain kaisay kahain Aazaad hain hum
Us nagri mein Aabaad hain hum
Jahan soch pe Pehray hotay hain
Jahan jeetay hain na martay hain
Jahan sog na sehray hotay hain
Jahan taaqat andhi hoti hy
Jahan munsif behray hotay hain...!

· 4 Like · Jan 01, 2018 at 06:01
Category: political
 
Poetry / Political

Ay Chand Yahan Na Nikla Kr

Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr,

Yahan ulti ganga behti hai,
es dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,

Hai yahan pe karobar boht,
es dais main gurday biktay hain,

Kuch log hain alli shan boht,
Aur kuch ka maqsad rotti hai,

Wo kehtay hain sab achha hai,
Maghrib ka raaj he sacha hai,

Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr...!

· 4 Like · Dec 29, 2017 at 08:12
Category: political
 
Poetry / Political

Ay Janoon E Ishq Bata Zara

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!

· 4 Like · Jun 23, 2017 at 01:06
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Aey Chand Yahan Na Nikla Kar

Aey Chand Yahan Na Nikla Kar,
Be Naam Se Sapnay Dikhla Kar,

Yahan Ulti Ganga Behti Hai,
Is dais Mein Andhay hakim Hain,

Na Dartay Hain Na Nadim Hain,
Na Logon K woh Khadim Hain,

Hai Yahan Par Karobar Buhat,
Is Dais Mein Gurday Biktay hain,

Kuch Log Hain Aali Shan Buhat,
Aur Kuch Ka Maqsad Roti Hai,

Woh Kehtay Hain Sab Aacha Hai,
Aur kufr Ka Raj Hi Sacha Hai,

Yeh Dais Andhay Logon Ka,
Aey Chand Yahan na Nikla Kar......!!!!,

· 4 Like · Apr 21, 2016 at 10:04
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen

Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen
Hum Apny Bujhty Chiraaghon Ka Gham Mana Rahy Hen

Hum Apny Ahd K Wo Mutmain Munaafiq Hen
Jo Apny Ap Ko Tarteeb Se Ganwa Rahy Hen

Hawa-E-Asr Koi Taaziyat To Kar Hum Se
Hum Apny Mulk Mein Hijrat Ka Dukh Utha Rahy Hen

Ye Badtareen Siyaahi Bhi Apny Bakht Mein Thi
K Ghar Jala Rahy Hain Aur Muskra Rahy Hen

· 4 Like · Apr 07, 2016 at 19:04
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Insanon Ki Smugling

Bachey Humara Mustaqbil, Jawan Humara Ameen
Insanon Ki Smugling Hoti Hey Yahan
Un Dekhi Unjani Munzil Ki Turuf Rawan Dawan
Ub Khudkush Bum Dhumakon Ki Kami Nahen Yahan

· 4 Like · Feb 08, 2016 at 08:02
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Her Teruf Shaitan

Khulay Phir Rahey Hain Her Teruf Shaitan
Awam Key Masayil Kabhi Hul Na Hon Gey
Insanyut Key Jamay Main Hakoomut Ho Rahi Hey
Ab Her Taruf Khudkush Bum Dhamakey Hi Hon Gay

· 4 Like · Feb 08, 2016 at 02:02
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Achi Hokumat

Fiqr_O_Faqa Bhi Khoob Hey Aj Kul
Na Milay Daal, Na Milay Kahen Cheeni
Achi Hakomut Ka Nara Lugatay Hain Khud
Soney Key Bhao Bik Rahi Hey Cheeni

· 3 Like · Feb 07, 2016 at 14:02
Category: political
 
Poetry / Political

H.u.rehman

Terrorism (nazam)

deko ، dour ik laash paree hai

kay dayen janib

konay par sunsaan gali kay

kachra daikh rahay ho

uss kay paas lahoo mein luthri

khaak aloodah ، bhikri bhikri

ghair ya apna ، kaun hai jaaney

aao dekhin aur pehchanen

naqsh mita daalay goli nay

rangat khoon mein doob gayi hai

jayb tatolo ، kya rakha hai

ye dou khoon say tar hain

das das kay dou nott rakhe hain

haath jo neechay daba howa hai

iss ki sakht giraft mein kya hai

shayad hai school ka basta

jayb say ye kya jhaank reha hai

ik parcha hai ، khat hai shayad

toty phooti si urdu mein

rang birangi pislon kay

sab rangon say likha howa hai

" aaj jo basta mera

ho jaye gi tum say

aur biscuit bhi lana ،

pyare abboo ! jaldi aana ! ! "

· 2 Like · Feb 06, 2015 at 14:02
Category: political
 
Namaz
Posted by moona malik
Posted on : Aug 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS