Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Bheega Bheega Sa Ye December Hai
Bheegi Bheegi Si Tanhai Hai
In Kitabon Main G Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaad Aai Hai
Bheega Bheega Sa December Hai

Shaam Ki Kaali Aankhen Jab Palkon Ko Jhapkaati Hain
Kissi Pair Kay Neechay Kuch Yaadain Gungunaati Hain
Kuch Pyar Kay Aadhay Nagmay
Aadhi Pyar Ki Kahaani.
Aik Shehar Ka Raja tha
Aur Ek Gaon Ki Rani
Donon Baday Premi The
Ban Main Aaya Kartay The
Unkay Pyar Kay Meethay Nagmay
Panchi Gaaya Kartay The
Ab Na Premi Hain
Na Woh Baatain Hain
Aur Yaadain Hi Apni Kamai Hain
In Kitaabon Main G Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaad Aai Hai.

Is Kamray Ki Khirki Baarish Ka Shor Sunati Hai
Aur Tumhari Aahat Hum Ko Yeh Rog Lagati Hai.
Ab Kay Saal December Main Jab Ban Main Mein Jaoon Ga
Neeli Jheel Darakhton Kay Saaye Aur Sookhay Pattay
Saaray Tera Poochain Gay
Kahan Hai Tera Poochain Gay
Tera Premi Yaar Kahan Hai
Saaray Tera Poochain Gay
Kia Bataoon Ga
Kia Kahaani Hai
Ab To Qismat Main Apni Judai Hai.
In Kitaabon Main G Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaad Aai Hai.

Shaam Dhallay Jab Panchi
Apnay Apnay Ghar Jaatay Hain
Koi Mujhay Batlayay
Mujhko Yeh Q Tarpaatay Hain
Mainay Bhi Ek Sapna Dekha Tha Apnay Ghar Ka.
Kho Na Jaye Mera Panchi
Lekin Mujhko Dar Tha
Mera Yeh Afsaana Hai
Saara Yeh Afsaana Hai
Mera Panchi Rasta Bhoola
Pagal Hai Anjaana Hai
Tu Gaya Hai To
Mainay Jaana Hai
Mera Dil Ab Bhi Tera Deewana Hai
In Kitaabon Main G Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaad Aai Hai.

Bheega Bheega Sa Yeh December Hai
Bheegi Bheegi Si Tanhai Hai
In Kitaabon Main G Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaad Aai Hai.

Advertisement
· 1 Like · Nov 10, 2015 at 08:11
Category: songs-lyrics
 

Latest Posts in poetry

Mohammad Yousuf and Mushtaq Ahmed
Posted by iJunoon
Posted on : May 15, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS