Poetry / Sad

ye musafataiN , raah-e-ishq meiN
kon shahr-e-jaaN ki nazar karey
kissey shouq tanhaa safar karey
karey shahr-e-furqat ki arzoo
kon dasht-e-hijraaN ko ghar karey
in raastoN par chalaa kabhii
merey saath ban ke wo humsafar
jissey samjhaa shareek-e-reh guzar
sar-e-raah wo kisi moR par
badley gaa manzil , thii kyaa khabar
mujhey faslon ki fikr nahi
merey ru-ba-ru merey khowab heiN
wo jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be-nishaaN se heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN
ab uss ke aur merey darmiyaaN
haail anaa ke mizaaj heiN
ussey phir se milney ki chah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kaha kon tera hai muntazir?
merey dil ka mujhsey sawaal hai?…
meri chahton ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wohi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khush kabhii
wo ab baais-e-malaal hai
meri be bassi bhi kamaal hai
na hi uss se milney ki justujoo

na hi wapsi ka khayaal ha...!

Advertisement
· 1 Like · Aug 10, 2017 at 11:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS