Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ye ajab khail hay
Es meiN hota hay youN
ham jisy chahtay haiN dil-o-jaN se wo
chahta hay dil-o-jan hi se
kisi aur ko
khail k zabtoN k mutabiq hmaiN
donoN janib k jazboN ka
ik sath hi rakhna hota hay pas
laikin aksar ye dekha gaya hay
k es khail meiN
her khilaRi
apny jazbat ki ro mei behtay hoe
aik janib hi rakhta hay apni nazar
dosri samt ka us ko ehsas kya
koi us ki tawajo ka talib rahy
us k wapas palaTnay ki hasrat liay
ik charag-e-sar-e-rehguzar ki tarha
khoon-e-dil ko jalaye, rahy muntazar
laikin us ki shab tar ki
ho na paaye sahar
ye ajab khail hay

ye ajab khail hay
es meiN youN bhi hua
jeet k shoq meiN
kitny hi zorawar khilaRi jo thy
munh k bal wo giray
beshtar in meiN aisy thy jo
na idher k rahy na udher k rahy
sirf chaand ik thy wo
surkhuru jo huay

ye ajab khail hay..

Advertisement
· 1 Like · Jun 02, 2017 at 20:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Taqseem Ho Gai Hun Khairaat Ki Tarha
Posted by farhan bilal
Posted on : Jun 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS