Poetry / Sad

Faasle aise bhi hoon ge yeh kabhi socha na tha
Samne baitha tha mere aur woh mera na tha

Yeh sab hi viraniyan un k juda hone se thin
Aankh dhundlayi hui thi shehar dhundlaya na tha

Woh k khushbo ki tara phaila tha mere chaarsoe
Main jise mehsos kar sakta tha chuo sakta na tha

raat bhar pichali hi ahat kaan main ati rahi
jhank kar dekha gali main koy bhi aya na tha

Yun to chehre the hazaron anjuman main zofashan
Aankh jis ko dhundhti thi aik woh chehra na tha

Yaad kar k bhi unheen taklif hoti thi......
Bhool jane k siwa ab koy bhi chara na tha.

Advertisement
· 1 Like · Oct 05, 2015 at 21:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Edges
Posted by Mehwish Shahzadi
Posted on : Dec 24, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS