Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

wo khaloos tha k khumar tha ?
wo janoon tha k saraab tha ?
mujhe sochne mein zamana laga
mujhe manzilon ne bhoola diya

mujhe jis maseeha pe maan tha
mujhe us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rah guzar
mujhe raste mein mile magar

meri tishnagi kuch or hai
meri justajoo koi or hai
wo jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mein sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki rivaytain
laho ki balie se sanwaar de

mujhe us wafa ki talaash hai
mujhey us wafa ki talaash hai

magar is jahaan-e-kharab mein
yahaan khwahishon k saraab mein

mujhe kon de aisi wafa ?
mein kahaan se laoon wo wafa ?
inhi uljhanon mein ghira hua
Yehi sochta mein chala gya

Advertisement
· 1 Like · Jan 11, 2017 at 09:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sleeveless
Posted by Naila Ahmed
Posted on : Dec 10, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS