Poetry / Sad

Wada-e-hoor pe behlaye hoe Log hain hum
Khak Bolen ge k dafnaye hoe loag hain hum,

Youn Har ik Zulm pee Dam seedhay khare hen
Jese deewar main chunwaye hoe log hain hum,

Us ki har baat pe LABBAIK kyn na kaheen
Zar ki zangeeron pe bulwaye hoe log hain hum,

Jiss kaa jee chayee wo ungli pe nachaa leta he
Jaise bazar se mangwaye hoe log hain hum,

Hansi aye ge bhi to hanste hoe darr lagta he
Zindagi youn teray Zakhmaye hoe log hen hum

Asmaan apna, Zameen apni Na sans apni to phir
Janay kiss baat pe itray hoe log hain hum

Jis tarhan chahe bana lay humain ay wakt
Dard ki Anch par pighlaye hoe log hain hum...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 03, 2017 at 15:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jild k Liye Dahi ka Istemal
Posted by rumana shahzad
Posted on : Oct 26, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS