Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ujrre Hue Logon Say Gorezan Na Howa Kar
Halaat Ki Qabron Kay Yeh Kutbay Bhi Parha Kar

Har Waqt Ka Hansna Tujhay Barbaad Na Karday
Tanhaaee Kay Lamhoon Mein Kabhi Ro Bhi Liya Kar

Ae Dil Tujhay Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tou Halqa-E-Yaran Mein Bhi Mohtaat Raha Kar

Kya Janye Kiyon Taiz Hawa Soch Mein Gum Hai
Khwabedaa Parindon Ko Darakhton Say Ura Kar

Uss Shakhs Kay Tum Say Bhi Marasim Hain Tou Hongay
Woh Jhoot Na Bolay Ga Marey Samnay Aakar

Pehla Sa Kahan Ab Meree Raftaar Ka Aalam
Ae Gardish Dauraa Zara Tham Tham Kay Chala Kar

Ik Rooh Ki Faryaad Nay Chonka Diya Mujhkoo
Tou Ab Tou Mujahe Jisam Kay Zandan Say Raha Kar

Ab Thokrain Khaye Ga Kahan A Gham Ahbaab
Mein Nay Tou Kaha Tha Keh Marey Dil Mein Raha Qr

Iss Shab Kay Muqaddar Mein Sehar He Nahi Mohsin
Dekha Hai Kayi Baar Chraghon Ko Bhuja Qr

Advertisement
· 1 Like · Oct 20, 2016 at 06:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Haal Song by Garry J
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jan 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS