Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Wo DhoondTi K Ye Manzar Koii Na Dekh Saka


Talash Kartay Howay Ungliyaan Jala Daalain
Wo Tirgi Thi Keh Main Shama Bhi Na Dekh Saka


Mila Tha Shaam Mujhay Ak Bujha Howa Sooraj
Main Us Kay Baad Phir Roshni Na Dekh Saka


Jo Rabt Baaki Tha Sab Qata Kar Liya Us Nay
Wo Meharbaa Meri Be Chaargi Na Dekh Saka


Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka


Wahi Hay Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerain
Main Umar Bhar Koii Soorat Naii Na Dekh Saka


Tamaam Shaher Main Wo Deedawar Howa Mashoor
Wo Apni Naak Say Aagay Kabhi Na Dekh Saka

Advertisement
· 1 Like · May 04, 2017 at 04:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS