Poetry / Sad

ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-e-duniya hi nibhanay ke liye aa
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi mehroom
ay raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush feham ko tujh se hain umeedain
ye aakhri shammen bhi bujhaane ke liye aa
maana ki muhabbat ka chupana hai muhabbat
chup ke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aisay hi kisi roz na jaane ke liye aa

Advertisement
· 1 Like · Jul 05, 2017 at 08:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Making of Ayushmann's 'O Heeriye'
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Aug 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS