Poetry / Sad

phir se mausam bahaaron ka aane ko hai
phir se rangeen zamana badal jayega
ab ke bazm charaGhoon sajaa lenge ham
ye bhi araman dil ka nikel jayega

aap kar de jo mujh pe nigaah-e-karam
meri ulfat ka reh jayega kuch bharam
ye fasana to mera rahegaa yahin
sirf unvan us ka badal jayega

pheeki pheeki si kyu sham-e-maiKhana hai
lutf-e-saaqii bhi kam Khali paimana hai
apni nazaron se hi kuch pila dijiye
rang mahafil ka Khud hi badal jaayegaa

mere mitne ka un ko zara Gham nahi
zulf bhi un ki ai dost barham nahi
apne hone na hone se hota hai kya
kaam duniyaa kaa yuu hi to chal jayegaa

aap ne dil jo Zahid ka tora to kya
aap ne us ki duniyaa ko chora to kya
aap itane to aaKhir pareshaan na hon
vo sambhalte sambhalte sambhal jayega

Advertisement
· 1 Like · Jun 27, 2017 at 14:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS