Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko..

Advertisement
· 2 Like · Sep 03, 2016 at 23:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Poetry / Sad

phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehlo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Advertisement
· 2 Like · Aug 28, 2015 at 04:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS