Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

mujhay apnay zabt peh naz tha , sar bazm raat yeh kya howa
meri aankhh kaisay chhalak gai , mujhay ranj hai yeh bura howa

meri zindagi k chairag ka yeh mizaaj koy naya nahi
abhi roshni abhi tayragi , nah jala howa nah bujha howa

mujhay jo bhi dushman jaa mila , wohi pukhta kaare-e-jafaa mila
nah kise ki zarb ghalat pari nah kise ka teer khata howa

mujhay aap kiyon nah samajh sakay , kabhi apnay dil say bhi poochiye
meri daastaa’n-e-hayaat ka tou varq varq hai khula howa

jo nazar bacha kay guzar gaye mairay samnay say abhi
yeh mairay he shehar kay log thay , mairay ghar say ghar hai mila howa

hamein is ka koy bhi haq nahi k shrik-e-bazm-e-khuloos hon
nah hamaray paas naqaab hai , nah kuch aasteen mein chhupa howa

mairay aik goshaa-e-fikar mein , meri zindagi say aziz tar
mera ik aisa bhi dost hai , jo kabhi mila nah juda howa

mujhay ik gali mein para howa , kisi badnaseeb ka khat mila
kahin khon-e-dil say likha howa , kahin aansooun say mita howa

mujhay hum safar bhi mila koi tou shikasta haal meri tarah
ky manzlon ka thaka howa , kahin raaston mein luta howa

hamein apnay ghar say chalay hoe , sar-e-raah umar guzar gai
koi justojoo ka sila mila , nah safar ka haq he ada howa

Advertisement
· 3 Like · Jan 23, 2018 at 06:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

who is better.
Posted by najam ali khan
Posted on : Nov 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS