Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

mohabbat mein agar koi jhoot bolay tou
mohabbat Roth jati hai
mohabbat toot jati hai
mohabbat mein adakari nahi chalti
mohabbat mein * ria kaari nahi chalti
mohabbat Sache jazbun say bana anmol moti hai
mohabbat zindagi mein faqt ik baar hoti hai
mohabbat kanch ki manind
mohabbat aanch ki manind
keh jon jon waqt guzray tou
yeh har pal taiz hoti hai
sulagti aag ki manind
mohabbat raag ki manind
keh iss kay sunnay walon par
ajab madhoshi chhaati hai
mohabbat jhilmilati hai
chamakate chaand ki manind
mohabbat aik moorat hai
mohabbat khobsorat hai
yeh moorat sab ko bhaati hai
kayi sjday karati hai
mohabbat rail ki manind
keh anjanay musafir iss ki har pal
raah taktey hain
yeh basssss ik baar aatti hai
agar yeh chhoot jayae tou
musafir soog kartay hain
musafir rog kartay hain
mohabbat jog ki manind
jisay ik baar lag jayae
woh sab kchh_h bhool jata hai
mohabbat deewar say lipti ik bail ki manind
jo sada barhti he jati hai
mohabbat khushbu ki manind
jo har so phail jati hai
mohabbat gungunahteen hai
sureelay geet kay manind
kisi kay naram honton say
yeh jab lafzon ki soorat mein nikalti hai
tamanna phir machalti hai
mohabbat raakh hoti hai
mohabbat pak hoti hai
mohabbat masoom sa sach hai
keh iss ko bolnay say rooh mein
pakeezgi si loout aateen hai
tabhi tou ! mohabbat mein agar koi jhoot bolay tou
! ! ! ! mohabbat rooth jati hai
,

Advertisement
· 1 Like · Jul 22, 2016 at 08:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

sub ik film ka name likho
Posted by Uzair Ahmed
Posted on : Feb 07, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS