Archives

Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

"Log toltey hain mohabat dilon se
Ham toltey hain mohabat kohsaron se

Gar meri mohabat kohsaron sae tolay
To Kohsar e mohabat raakh ban jaaway

Rakh ko surma bana kar ankh par malun
Har lamha tera deedar karta rahun

Tujhay apni is chasm mae kaed kar dalun
Qafas ko tere jamal sae saja dalun

Go tum aik hasee bagh ki maanind ho
Jiska mali mae ho jaun robaro

Tumhi ko apna kashanaye alam banaon
Tere har mehfal ki parastish karun

Is Bagh main aik haseen phul ugaon
Jiski Mohabat ka chaman afroz phelaon

Jisko tum apne senay mae yun samaon
Keh har lamha tumhay mere yaad dalay ho

Ab to dewangi e inteha ka ye alam hae
K Rooh bhi larzaa hae tere talasim sae

Advertisement
· 1 Like · Aug 22, 2016 at 04:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS