Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Khizan Ki Rajdhaani Mein Gul_E_Nayaab Jaisa Tha
Jisay Tum Bhool Bethay Ho Wohe To Khawab Jaisa Tha

Kahin Per Phool Kaanton Ki Tarha Chubhtay Thay Paon Mein
Kahin Patthar Sa Rasta Bhi Humein Kam_Khawab Jaisa Tha

Meray Dushman K Lafzon Mein Bhi Aisi Kaat Kab Hoti
K Ye Lehja To Bilkul He Meray Ahbaab Jaisa Tha

Jo Hota Aasman Per To Na Janay Kaisa Hota Wo
K Es Ujrri Zameen Per Bhi Wo Ek Mahtaab Jaisa Tha

Barha Us Ko Bura Kehtay Thay Saaray Log Mehfil Mein
Humein Acha Nazar Aaya, Dil_E_Betaab Jaisa Tha... .
,

Advertisement
· 1 Like · Apr 29, 2016 at 22:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Only One
Posted by sadaf zeeshan
Posted on : Jul 28, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS