Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

kaun kehta hay k maut aayi tu mar jaonga
main tu dariya hoon samandar mein utar jaonga

tere pehlo se jo uthoon ga tu mushkil yeh hay
sirf ek shakhs ko paonga jidhar jaaonga

ab tere shehar mein aaonga musaafir ki tarah
saaya e abr ki maanind guzar jaonga

tera paimaan e wafa rah ki deewar bana
warna soocha tha jab chahonga mar jaonga

chaara sazooN se alag hay mera miyaar k main
zakham khaon ga tu kuch aur sanwar jaonga

ab tu khursheed ko doobay hoye sadiyaaN guzri
ab usay dhond nay mein taa baa sehar jaonga

zindagi shamma ki maanind jalaata hoon Nadeem
bujh tu jaonga magar subha tu kar jaonga

Advertisement
· 1 Like · Mar 25, 2017 at 21:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aksar Log Inkar se Baaz Nahi Aatay
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : May 24, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS