Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
muhabbat ab satati hai to kyon mehsoos kartay ho ?

tum un logon say hat kar bhi to zinda reh nahi saktay
yeh duniya dil dukhati hai to kyon mehsoos kartay ho ?

barastay hain jo badal to utar jata hai bujh un ka
tumhien khwaahish rulaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?

wohii chashm e tasawar hai wohii hai dil ki haalat bhii
wo soorat hashr uthaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?

kaha tha kis nay rakho tum sunehray khwaab aankhon mein
aseer e neend urrti hai to kyon mehsoos kartay ho ?

usii say milti julti hain adaayen sab balaaon kii
hawa pagal banati hai to kyon mehsoos kartay ho ?

jisay tum chand kehtay thay wohi hai aankh mein roshan
agar shab jagmagati hai to kyon mehsoos kartay ho

Advertisement
· 2 Like · Jul 31, 2016 at 01:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Mobile SMS ke liye chhota sa printer
Posted by fozia iqbal
Posted on : Sep 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS