Poetry / Sad

Haya Jalal

jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil k zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

tod diye hain maine apne ghar k saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh k dar jaati hai

ro k halkey ho lete hain zara si teri yaad mein...
zara si na muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai

asar karti yakeenan agar choo jaati unke dil ko lekin
afsos k aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

maikade mein jab bhi zikar aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai

kabhi aa k mere zakhmon se muqaabilaa to kar
ae khushi tu mon chhuppaa k kidhar jaati hai

tujhe inhi kaanton pe chal k jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai

Advertisement
· 1 Like · May 05, 2015 at 15:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

what do people talk about on skype
Posted by safia saeed
Posted on : Jun 15, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS