Poetry / Sad

jeena parta ha kabhi zarf se kamtar ho kar
bheek daryaon se maangi ha samandar ho kar

haan ye tasweer kabhi baat kiya karti thi
dekhti rehti hain ankhein jise pathar ho kar

umar bhar mere tassawur ne tarasha tha jise
ab wo saya kahi gum ho gaya paikar ho kar

mera es ishq men nuqsaan hua ha kitna
khud se mehroom hua tujh ko mayassar ho kar

mere ehsaas pe ghalib hi rahi ik wahshat
mushkelain kam na huin ranj ka khoogar ho kar

es se behtar ha ke ik baar utar ja dil men
kyun ulajhta ha, mere zakhm se, nashtar ho kar

mera dukh ye ha, ke sab shaad samajhte hain mujhe
is aziyat se guzra hoon, sukhanwar ho kar...!

Advertisement
· 1 Like · Dec 19, 2017 at 09:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS