Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

gham e firaaq sey pehlay shab e visaal key baad
hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key baad

tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key baad

jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key baad

tumharey meray taaluq pey youn khizaan chaie
kabhi urooj nahii hai jisay zawaal key baad

main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jholi mein es kamaal key baad

wo ab kii baar milla es qadar takaluf sey
ke kuch bhii na pooch paya main us sey haal key baad

Advertisement
· 1 Like · May 15, 2017 at 00:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

yaadon se chala jaye
Posted by shahid siddiqui
Posted on : Sep 20, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS