Poetry / Sad

Ek nanhi si masoom chidiya mili thi mujhe chehekte hue
aankhein shayad uski thaki nahi thi mohabbat karte hue,

puchha maine teri shokh palken hai kis dard ke bojh tale
kyon simat rahi hai teri awaz teri dhadkanein sisakte hue,

yehi daal thi jab dekha tha tera aashiyaana maine pehle
kahan gaya wo gharonda tere piya ki khushbu se mehekte hue,

ye sunke ek thaka hua sa aansu jhalak aaya uski aankhon mein
khaak mein mil gaya wo uske chehre par aawara safar karte hue,

kaha usne ke maine mohabbaton se paala tha is shaakh ki har dali ko
aaj usi shaakh ne fanaa kiya mere armaano ko jo rahe bilaktey hue,

kaha usne ke dekh mere pankh jo bharte the udaan mere piya ke sath
aaj wohi pankh hai zakhmi kuch parwaazon se zakhmi rotey hue,

kaha usne, ke mohabbato ne ye hashr kiya hai mere haalaaton ka
ke har saans meri reh gayi ehsaanon ki numayish bante hue.

Advertisement
· 2 Like · Sep 01, 2015 at 16:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Moat ka Farishta
Posted by Usama Arshad
Posted on : Oct 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS