Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dard Phail Jaye To
Aik Waqt Aata Hai
Dil Dharakta Rehta Hai
Aarzoo Guzeedoun Key Hosley Nhe Chaltey
Dasht E Be-Yaqeeeni Mein Aasrey Nahi Chaltey
Rah Rawoun Ki Aankhoun Mein
Manzilien Na Jab Tak Hon Qaafiley Nahi Chaltey
Eik Zara Tawajoh Sey Dekhiye To Khulta Hai
Log In Pey Chaltey Hain Raastey Nahi Chaltey
Sochney Smajhney Sey Saath Saath Chalney Sey
Dooriyaan Simateti Hain Faasley Nahi Chaltey
Khwaab Khwaab Aankhoun Mein Rat-Jagey Nahi Chaltey
Darguzar Key Halqey Mein Masley Nahi Chaltey
Do Diloun Ki Qurbat Mein Teesra Nahi Hota
Waastey Nahi Chaltey
Bakht Saath Chalta Hai
Waqt Raam Karney Mein Tajziyoun Key Daao Kiya
Tajrubey Nahi Chaltey
Ishq Key Ilaqey Mein Hukam E Yaar Chalta Hai
Zaabtey Nahi Chaltey
Husan Kii Adalat Mein Aajzii To Chaltii Hai
Martabey Nahi Chaltey
Doosti Key Rishtoun Kii Parwarish Zaroori Hai
Silsiley Taaluq Key Khud Sey Ban To Jattey Hain
Lekin In Shagoofoun Ko Tootney Bikharney Sey
Rokna Bhe Parta Hai
Chahatoun Kii Mitti Ko Aarzoo Key Powdey Ko
Seenchna Bhe Parta Hai
Ranjishou Kii Baatoun Ko Bhoolna Bhi Parta Hai

Advertisement
· 1 Like · Feb 14, 2016 at 09:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

kasrate e tilawat kamyabi ki alamat
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS