Archives

Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

be_rukhi barh jayegi tu be_wafa ho jayega
kya khabar thi mujh se tu itna khafa ho jayega

tuney itna bhi na saucha chhorh kar jate huwey
terey binn kitna koi be_aasra ho jayega

karm k shab ki tarah masoom thi chahat meri
ab mera ahsas jangal ki hawa ho jayega

kis ne jana tha bane ga jab hamara aashyan
sara gulshan bijlyon ka hamm nawa ho jayega

ikk zara si be_wafai bhi sahi jati nahee
daikhna ye dard hi ikk din dawa ho jayega

sauchta hon shamma e sehri ki tarrha kanp kar
mujh se tu bichhra tau ZEBA jane kia ho jayega

Advertisement
· 1 Like · Apr 26, 2016 at 20:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

apni kharabion ko pas e pusht daal kar
Posted by asiya faheem
Posted on : Mar 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS