Poetry / Sad

Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main dhokay main hi raha tujh say door ja kar bhi

Main sakht jaan tha es qurb say b bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath say ganwa kar bhi

Khuda kare tujhe doori hi raas ajaye
Tu kya kare ga bhala ab yahan par aa kar bhi

Abhi tu mere bikharne ka khail baqi hai
Main khush nahi hoon abhi apna ghar lota kar bhi

Abhi tu us ne koi bhi faisla na kiya
Wo chup hai mujhko har tarha say aazma kar bhi

Wo aur log the jin ka ajaz haal howa
Hume tu kuch na mila apna ap mita kar bhi

Khula ye bhaid k tanhaiyan hi qismat hain
Ek umar dekh liya mehfilein saja kar bhi

Ghazal kehne pay bhi sochoon ka bojh kam na howa
Sakoon na mill saka ahwal-e-dil suna kar bhi

Ruka na zulm mere rakh banne par bhi Riyaz
Hawa ki khoj tu wahi hai mujhe jala kar bhi...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 21, 2017 at 07:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS