Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ajab Tarz Ka Ab K Sailaab Aya,
Main Khud Ko Bachata Hun Ghar Dobta Hai
Jo Ghar Ko Bachaaon To Khud Dobta Hun
Mere Sath Mera Hunar Dobta Hai
Magar Ghar Jo Doba To Dobay Ga Sab Kuch
Meri Mehnaton Ka Samara Dobta Hai
Mere Sehn Main Aik Purana Shajar Hai
Yeh Ghar Dobnay Se Shajar Dobta Hai
Shajar Jis Se Yaadain Hain Wabasta Us Ki
Shajar Jo Kahani Hai Guzray Dino Ki
Kabhi Is K Saaye Main Hum Ne Guzareen
Mohabbat Bhari Kitni Shamain Suhani
Magar Aakhri Sham Hai Yaad Ab Bhi
Jab Us Ne Shajar Pe Banaye Thy 2 Dil
Yeh 2 Dil He Ab Mere Dil Ki Hain Dharkan
Yeh 2 Dil Jo Dobay To Dobay Ga Sab Kuch
Main Khud Dobta Hun Yeh Ghar Dobta Hai
Main Yeh Sochta Hun K Ghar Ko Bacha Loon
K Ghar Hai To Main Bhi Hun Mera Shajar Bhi
Nahi To Na Angan, Na Yaadain, Na Saaya
Ajab Tarz Ka Ab K Sailaab Aya
,

Advertisement
· 2 Like · May 01, 2016 at 02:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jane Kyun Shikast k Azaab Liye Phirta Hun
Posted by sarmad ali
Posted on : Apr 09, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS