Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

aina-e-kholous-o-wafa chuur ho gaye
jitne chiraaGh-e-noor the benoor ho gaye

maaloom ye hoa ke wo raste ka saath tha
manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye

manzoor kab thii hamko watan se ye doriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye

kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
kuch wo bhii apne husn pe maGhrour ho gaye

charaghoun ki aisii inaayat hoi Hafeez
ke jo zakhm bhar chale the wo nasour ho gaye

Advertisement
· 1 Like · Jan 18, 2017 at 04:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

That's how i spent my time in University
Posted by ali bukhari
Posted on : Feb 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS