Poetry / Sad

Aaj udhas hoon to zamana mujhey pochne aya ..

Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..

ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..

Zindagi ki musafat k wo chaand din jo guzar chuke hain..

na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya…

Bhool na chahta hoon har lamha, har waqt jo guzar gaya hai..

jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya…

Guzra hua kal na tha mera, na hai mera our na ho ga kabhi…

yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe…

magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi

yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi ….

tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya...!

Advertisement
· 1 Like · Oct 02, 2017 at 18:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

''Rang Rasiya'' Teaser
Posted by Bollywood Movie Trailers
Posted on : Feb 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS