Sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghooNghaT ko uThaaye gaa sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
roye gi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

·
2 Like ·
Jul 23, 2016 at 22:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mei Kisi Aur Ki Hon Itna Bata Ker Roi
Mei kisi aur ki hon itna bata ker roi
Woh mujhe mehandi lagay hath dikha ker roi
Mein Be-Kasoor hon Qudrat ka faisla hai yeh
Lipat k mujh se bas woh itna bata ker roi
Mujh peh aik qarb ka toofan hogaya haayal
Jab mere samne khat mere jala ker roi
Meri nafrat aur adawat pighal gai pal mei
Woh bewafa hai to kion mujhko rula ker roi
Sab shikwe aik pal mein beh gaye WASI
Jheel c aankhon mei jab aansu saja ker roi....

1 Like ·
Jul 23, 2016 at 16:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hairaan Hoon K Yeh Kon Sa Dastoor E Wafa Hai
Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag e jaan hai to kioun mujh se juda hai,
Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.
Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,
Uthti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,
Betaab samander koi seenay mein daba hai,
Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai

Jul 23, 2016 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbat Rooth Jaati Hai
mohabbat mein agar koi jhoot bolay tou
mohabbat Roth jati hai
mohabbat toot jati hai
mohabbat mein adakari nahi chalti
mohabbat mein * ria kaari nahi chalti
mohabbat Sache jazbun say bana anmol moti hai
mohabbat zindagi mein faqt ik baar hoti hai
mohabbat kanch ki manind
mohabbat aanch ki manind
keh jon jon waqt guzray tou
yeh har pal taiz hoti hai
sulagti aag ki manind
mohabbat raag ki manind
keh iss kay sunnay walon par
ajab madhoshi chhaati hai
mohabbat jhilmilati hai
chamakate chaand ki manind
mohabbat aik moorat hai
mohabbat khobsorat hai
yeh moorat sab ko bhaati hai
kayi sjday karati hai
mohabbat rail ki manind
keh anjanay musafir iss ki har pal
raah taktey hain
yeh basssss ik baar aatti hai
agar yeh chhoot jayae tou
musafir soog kartay hain
musafir rog kartay hain
mohabbat jog ki manind
jisay ik baar lag jayae
woh sab kchh_h bhool jata hai
mohabbat deewar say lipti ik bail ki manind
jo sada barhti he jati hai
mohabbat khushbu ki manind
jo har so phail jati hai
mohabbat gungunahteen hai
sureelay geet kay manind
kisi kay naram honton say
yeh jab lafzon ki soorat mein nikalti hai
tamanna phir machalti hai
mohabbat raakh hoti hai
mohabbat pak hoti hai
mohabbat masoom sa sach hai
keh iss ko bolnay say rooh mein
pakeezgi si loout aateen hai
tabhi tou ! mohabbat mein agar koi jhoot bolay tou
! ! ! ! mohabbat rooth jati hai
,

Jul 22, 2016 at 08:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sawal Ghum Hai
sawal gham hai
jawaab gham hai
hazaar saloon mein jo mukammal hui
muhabbat ki khoon rangi kitaab gham hai
tumahare lab peh jo muskurahat hai
merae lab peh jo aashnai ki manzlon ka safar likha hai
yeh sara gham hai
kisi kay tan ki sumdarataa gham hai
kisi nazar ka gunjalta gham hai
muhabbaton kay samandaroon mein
utartee khush rang seerihoon par
yeh larkiyon ki qitaar gham hai
kafan mein lipti dhulhan ki aankhon mein
aansuon ka shumaar gham hai
woh lrhkyan, lrhke, avrtin, mard gham he gham hain
jo meri naazon kay jungalon kay
bay simt rustoon peh kho geye hain
woh saal khorda haseen aurat bhi gham ka chehra bunny hui hai
jisay muhabbat nay roshni ki naveed di thi
woh jis nay wahdon say apni manzil kasheed ki thi
woh gaon ki kachi paki raahein
woh meri maan ki naheef baanhain bhi gham he gham theen
keh mera bachpan tou gham kay lambay safar ki
ghamgeen ibtida thi
jawani gham ki kahani ban qr
kuch ayesay lafzon mein dhal gayi hai
keh gham ki tashheer ho gayi hai
abhi abhi yeh jo shokh saaye
haseen lamhoon ko chunn rahay thay
yeh gham ki tareekh ban rahay thay
yeh falsafah aqal o ishq o Irfaan
majaz , ejaaz aur haqeeqat bhi saaray gham hain
mein aik shah’r
mein aik sahir
mein aagahi kay azaab mein gum
safar ka anjaam jaanta hon
mein maanta hon
keh har khushi ka imam gham hai
.
.
.
tamaaam gham hai

Jul 22, 2016 at 02:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Qasmain Tum Bhi Bhool Gaye
kuch kasmain tum bhi bhool geye
kuch waday hum bhi tor geye
yun saath bhi cab tak chaltay tum
ik more peh aake chhor geye
sab raste dhundley rastay hain
par ab bhi hum iss more peh kharay
khaali dil khaali jaan liye
hum aaj bhi tum ko taktey hain
,
kuch waday hum bhi tor geye
yun saath bhi cab tak chaltay tum
ik more peh aake chhor geye
sab raste dhundley rastay hain
par ab bhi hum iss more peh kharay
khaali dil khaali jaan liye
hum aaj bhi tum ko taktey hain
,
·
1 Like ·
Jul 21, 2016 at 20:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mere Humsafar, Mere Humnashin
merae hum sfr, merae hum nasheen . . .
mein nay rab say manga tou kuch nahi . . .
par jab bhi mangi koi dua . . .
nahi manga kuch bhi tairay siwa . . .
yeh talab kya kay merae khuda . . .
naye ehad ki . . .
sabhi Rahatain, sabhi chahtain . . .
woh ata karay tujhay manzilain . . .
yeh talab kya keh merae khuda . . .
tujhay bakht day . . .
tujhay taaj day . . .
tujhay takhat day . . .
merae hamsafar . . .
merae charah gir . . .
yeh hai muhabbat ka kathin safar . . .
merae saath chalna zara soch qr . . .
merae paas zar nah koi hnar . . .
phir bhi daikh tou mera hounsla . . .
merae paas jo kuch sabhi tera . . .
nahi aur kuch bhi tairay siwa . . .
meri dosti . . .
meri zindagi . . .
meri khamoshi . . .
meri bay basi . . .
meri subeh bhi . . .
meri shaam bhi . . .
mera ilm bhi . . .
mera naam bhi . . .
keh jo mil sakain merae daam bhi . . .
woh sabhi kuch tujh ko ata karay . . .
merae charah gir tou yaqeen tou qr . . .
mujahe maangna tou nah asaka . . .
mein nay phir bhi mangi yeh he dua . . .
keh gawahi day ga mera khuda . . .
mein nay jab bhi iss say talab kya . . .
nahi manga kuch bhi tairay swaai

Jul 21, 2016 at 14:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisay Kia Khabar Hai Kahan Toot Jayen
yeh sheshay yeh sapnay yeh rishtye yeh dhaagay
kisay kya khabar hai kahan toot jayen
muhabbat kay darya mein tinke wafa kay
nah janay yeh kis more par doob jayen
ajab dil ki bastii ajab dil ki waadi
har ik more mousam nai khawahishon ka
lagaye hain hum nay bhi sapnon kay poday
magar kya bharosa yahan baarishoo ka
muradon ki manzil kay sapnon mein khoye
muhabbat ki raaho peh hum chal parrey thay
zara dour chal kay jab ankhain khulein tou
kari dhoop mein hum akailey kharay thay
jinhein dil say chaha jinhein dil say pooja
nazar arhay hain wohi ajnabi say
riwayat hai shayad yeh sadiiyon purani
shikayat nahi hai koi zindagi say ,

Jul 21, 2016 at 07:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Shaam Usay Batana
shaam ussay batana . . .
a shaam ussay batana
saraab uss ki justojoo kay
nisaab uss ki arzoo kay
chaar so bikhare huay hain
kasak ruttoon ki dastaneen
har lafz mein band hain
meri ankhain saaye ki manind chup hain
magar in mein basa intzaar
ab bhi zindah hai
a shaam ussay batana
ussay apnae andar zindah rakhtay rakhtay
merae saaray jazbay jhulas geye hain
paas wafa kay bharam mein
mera sakoo jal chuka hai
meri aankhon mein basssss
raakh he raakh hai
jin mein par lamha
uss ki muhabbat ki chingari
bharakti rehti hai
a shaam ussay batana
pehlay bhi paniyon mein rehtay thay
ab bhi smndar mein ghar banaya hai
doubtey sooraj ki zard roshni say
khud ko iztiraab kay singhar say sajaya hai
dhalti shaam say lay qr
dhalti shaam tak
lahoo nay usi ka reyaz kya hai
jis say
meri , meri
har ghari abad hain
a shaam uss say poochna
kya meri saari raatain
furaaq ki rut mein basar hon gi.
aur mujahe نتانا keh
mein khud ko kaisay samjhaao
keh adhuri khwahish
honton ko khushk
aur aankhon ko num rakhti hai
a shaam ussay batana
keh iss barbaad , geelay nagar mein
mein he nahi
woh bhi rehta hai
uss say kehna
keh merae andar woh iss tarrha hai
jis tarrha ash amin watar
merae saath saath bhi
mujh say juda bhi
a shaam ussay batana . . . ,

Jul 21, 2016 at 01:07
Category: sad
Poetry / Sad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi dekhega
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghonghat ko uthaye ga sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
royegi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad ,

Jul 20, 2016 at 07:07
Category: sad
Sponored Video