Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Iss Shah Latif Ki Dharti Mein
Iss Amn-O-Pyar Ki Basti Mein
Mein Paida Hooa Iss Dharti Mein
Parwan Charha Iss Basti Mein
Khana Bhi Yahin Ka Khaya Hai
Pani Bhi Issi Dharti Ka Pya
Ab Marna Jeena Sub Kuch Hi
Iss Dharti Say Hi Jore Leya
Phir Mujh Say Dour Kyon Rhetey Ho?
Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?
Mein Tum Say Alug, Tum Mujh Say Judaa
Kyon Aisi Sochen Rakhtey Ho?
Apnon Ko Ghair Samajhtey Ho
Gheron Ko Apna Samajhtey Ho
Tum Mano Isey Ya Na Mano
Yeh Dharti Meri Dharti Hai
Iss Shah Latif Ki Dharti Ko
Mein Apni Dharti Manta Hoon
Ab Iss Kay Silay Mein Tum Mujh Say
Kya Chahtey Ho? Yeh Mujh Say Kaho
Kuch Khul Kar Dil Ki Baat Karo
Kuch Mairay Dil Ki Baat Suno
Mein Sub Kuch Wo Kar Guzroon Ga
Tum Mujh Say Jo Bhi Chahtey Ho
Ik Bar Laga Kar Dil Say Mujhey
Tum Apna Samajh Kar Parkho To
Ik Phool Hoon Mein Apno Kay Leay
Aur Aag Hoon Mein Ghairoun Kay Leay
Seenay Say Laga Kar Daikho To
Dharti Kay Leay Basti Kay Leay
Har Din Ye Tamasha Hota Hai
Is Dharti Mein Iss Basti Mein
Kay Aapus Mein Hum Lartey Hein
Or Dushman Mauj Hi Kartay Hein
Kub Tak Ye Tamasha Ho Ga Kay
Hum Apna Khoon Hi Kartay Rahein
Aur Saaray Dushman, Ghair Subhi
Khushyoon Ki Mala Japtay Rahein
Ye Sara Tamasha Khatm Karein
Sub Doori, Talkhi Mita Dein Hum
Dharti Kay Sukh Ki Khatir Ub
Aapus Mein Aika Kar Lein Hum
Tum Haath Jo Aik Barhao Gay
Mein Dono Haath Barhaon Ga
Phir Dil Say Dil Mil Jaain Gay
Yoon Hum Sub Aik Ho Jaain Gay

Advertisement
· 1 Like · Jan 27, 2015 at 18:01
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Jad Se Judein by Mohit Chauhan
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Jul 11, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS