Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Quran Haathon Mein

Quran Haathon Mein Leke Naabiinaa Ek Namaazii
Labon Peh Rakhataa Thaa
Donon Aankhon Se Chuumataa Thaa
Jhukaake Peshaanii Yuun Aqiidat Se Chhuu Rahaa Thaa
Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa
Un Ke Lams Mahasuus Kar Rahaa Ho
Main Hairaan Hairaan Guzar Gayaa Thaa
Main Hairaan Hairaan Thahar Gayaa Huun
Tumhaare Haathon Ko Choom Kar
Chhuu Ke Apanii Aankhon Se Aaj Main Ne
Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa
Un Ke Lams Mahasuus Kar Liye Hain

· 1 Like · Jan 28, 2015 at 14:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Ummeed E Bahar Rakh

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Reh Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai TAlluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh

Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Peh Aansoo Ki Dhaar Rakh

Ae Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh

Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-E-Yar Rakh

Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

· 2 Like · Jan 28, 2015 at 08:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Tohfa

Bay Zubanon Ko Jub Wo Zaban Deta Hai
Parhne Ko Phir Wo Quraan Deta Hai
Bakhshne Peh Aye Jub Ummat K Gunahon Ko
Tohfe Mai Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai

· 1 Like · Jan 28, 2015 at 02:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Is Shah Latif Ki Dharti Mein

Iss Shah Latif Ki Dharti Mein
Iss Amn-O-Pyar Ki Basti Mein
Mein Paida Hooa Iss Dharti Mein
Parwan Charha Iss Basti Mein
Khana Bhi Yahin Ka Khaya Hai
Pani Bhi Issi Dharti Ka Pya
Ab Marna Jeena Sub Kuch Hi
Iss Dharti Say Hi Jore Leya
Phir Mujh Say Dour Kyon Rhetey Ho?
Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?
Mein Tum Say Alug, Tum Mujh Say Judaa
Kyon Aisi Sochen Rakhtey Ho?
Apnon Ko Ghair Samajhtey Ho
Gheron Ko Apna Samajhtey Ho
Tum Mano Isey Ya Na Mano
Yeh Dharti Meri Dharti Hai
Iss Shah Latif Ki Dharti Ko
Mein Apni Dharti Manta Hoon
Ab Iss Kay Silay Mein Tum Mujh Say
Kya Chahtey Ho? Yeh Mujh Say Kaho
Kuch Khul Kar Dil Ki Baat Karo
Kuch Mairay Dil Ki Baat Suno
Mein Sub Kuch Wo Kar Guzroon Ga
Tum Mujh Say Jo Bhi Chahtey Ho
Ik Bar Laga Kar Dil Say Mujhey
Tum Apna Samajh Kar Parkho To
Ik Phool Hoon Mein Apno Kay Leay
Aur Aag Hoon Mein Ghairoun Kay Leay
Seenay Say Laga Kar Daikho To
Dharti Kay Leay Basti Kay Leay
Har Din Ye Tamasha Hota Hai
Is Dharti Mein Iss Basti Mein
Kay Aapus Mein Hum Lartey Hein
Or Dushman Mauj Hi Kartay Hein
Kub Tak Ye Tamasha Ho Ga Kay
Hum Apna Khoon Hi Kartay Rahein
Aur Saaray Dushman, Ghair Subhi
Khushyoon Ki Mala Japtay Rahein
Ye Sara Tamasha Khatm Karein
Sub Doori, Talkhi Mita Dein Hum
Dharti Kay Sukh Ki Khatir Ub
Aapus Mein Aika Kar Lein Hum
Tum Haath Jo Aik Barhao Gay
Mein Dono Haath Barhaon Ga
Phir Dil Say Dil Mil Jaain Gay
Yoon Hum Sub Aik Ho Jaain Gay

· 1 Like · Jan 27, 2015 at 18:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Ya Rab

Mujhe Zindagi Mai Ya Rab Sar-E-Bandagi Ataa Ker
Meray Dil Ki Bay-Hisi Ko Gham-I-Aashiqi Ataa Ker

Teray Dard Ki Chamak Ho, Teri Yaad Ki Kasak Ho
Meray Dil Ki Dharkano Ko Nai Bay-Kuli Ataa Ker

Jo Tujhi Se Lo Laga De, Jo Mujhey Mera Pata De
Meray Ahed Ki Zuban Mai Mujhe GumRahi Ataa Ker

Jo Dilon Mai Noor Ker De Wo Hi Roshini Ataa Ker

Mai Safr Mai So Na Jaon ,Mai Yahin Peh Koh Na Jaon
Mujhe Zoq-O-Shoq-I-Manzil Ki Hama-Hami Ataa Ker

Bari Duur Hai Abhi Tak Rag-e-Jan Ki Musafat,
Jo Dia Hai Qurb Tu Ne Tu Shaaor Bhi Ataa Ker

Bhari Anjuman Mai Reh Ker Na Hua Aashana Kisi Se
Mujhe Doston K Jhurmat Mai Wo Bay Kassi Ataa Ker

· 1 Like · Jan 27, 2015 at 12:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Sohni Surat Mohammad(s.a.w.w) Ki

Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD (S.A.W.W) Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD (S.A.W.W) Ki

Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Peh Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD (S.A.W.W) Ki

Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Peh Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD (S.A.W.W) Ki

· 4 Like · Jan 27, 2015 at 06:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Alif Allah

alif Allah chambay di booti
mairay mun vich murshid lie ho

nifi asbat da paani milea
har ragay har jayi ho

andar booti mashk machaya
jaa phulaan te ai ho

murshid kaamil baaho
jiyen ae booti lie ho

· 2 Like · Jan 27, 2015 at 00:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Mohammad (s.a.w.w) Ka Roza

Mohammad (S.A.W.W) Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Peh Apna Naseeb Aa Raha Hai
Mohammad (S.A.W.W) Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Peh Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Wafa Tum Na Dekho Gay Hargiz Kisi Main
Zamana Wo Aisa Qareeb Aa Raha Hai
Hifaazat Karo Apnay Iman-o-Deen Ki
Zamana Wo Aisa Ajeeb Aaa Raha Hai
Mohammad (S.A.W.W) Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Peh Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Tumhain Kuch Khabar Hai Kahan Ja Raha Hun
Rasool-e-Khuda (S.A.W.W) Hain Wahan Ja Raha Hoon
Tumhain Kuch Khabar Hai Main Kya Pa Raha Hun
Mohabbat Ka Unki Maza Pa Raha Hoon
Chalo Ja Kay Rehna Madinay Main Ab Toh
Qiyamat Ka Manzar Qareeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Nigahon Main Sultaniyat Heech Ho Gi
Jo Paye Ga Dil Main Payam-e-Madina
Sukoon-e-Jahan Tum Kahan Dhonndtay Ho
Sukoon-e-Jahan Hai Nizam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Mohammad (S.A.W.W) Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Peh Apna Naseeb Aa Raha Hai
Mohammad (S.A.W.W) Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Peh Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai

· 2 Like · Jan 26, 2015 at 18:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Karam Mangti Hun

Karam maangtii huun raham maangtii huun
ILLAHII main tujh se duaa maangtii huun

Ataa kar tuu Shan-e-RAHEEMII kaa sadqaa
Dilaa de ILLAHII KAREEMII kaa sadqaa

Na maanguu gii tujh se,to maanguu gii kis se
Main terii huun,tujh se duaa maangtii huun

Karam maangtii huun raham maangtii huun
ILLAHII main tujh se duaa maangtii huun

ILLAHII tujhe waasta Punjatan kaa
Wo shaadaab ghunchaa dilon ke chaman kaa

ILLAHII tujhe waasta Ghaus-ul-waraa kaa
Inhii ke sadqe karam maangtii huun

Tuu daaman hamaaraa muraadon se bhar de
Karam kii nazar se duaa maangtii huun

Jo mufliss hain un ko daulat ataa kar
Jo biimaar hain un ko sehat ataa kar

Karam maangtii huun raham maangtii huun
ILLAHII main tujh se duaa maangtii huun

Ghareebon par raham kar YAA ILLAHII
Mareezon kii khaatir duaa maangtii huun

ILLAHII hamain shaad-o-masruur rakhnaa
Balaaon se ham ko sada duur rakhnaa

Musiibat main sabr-o-razaa maangtii huun
Huun rahamat kii taalib duaa maangtii huun

Pareshaniiyaan ham ko ghere huay hain
Pareshaniiyon kii khaatir duaa maangtii huun

Karam maangtii huun raham maangtii huun
ILLAHII main tujh se duaa maangtii huun

Huaa hai na maayuus tera sawaalii
Phiraa hai na koii tere dar se khaalii

Ham sab jamaa hain yahaan terii khaatir
Main sab kii taraf se duaa maangtii huun

Karam maangtii huun raham maangtii huun
ILLAHII main tujh se duaa maangtii huun

Ameen

· 1 Like · Jan 26, 2015 at 12:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Ya Allah

Teri Azmaton Say Hoon Bay Khabar
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai
Teri Rah guzar Main Kadam Kadam
Kahin Arsh Hai Kahin Toor Hai
Ye Baja Hai Malik-E-BandAgi
Meri Bandagi Main Kasoor Hai
Ye Khataa Hai Meri Khataa Magar
Tera Naam Bhi To Ghafoor Hai
Ye Bata Tujh Se Miloon Kahan
Mujhe Tujh Say Milna Zaroor Hai
Kahin Dil Ki Shart Na Dalna
Abhi Dil Nigahon Say Dor Hai

· 2 Like · Jan 26, 2015 at 06:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Allah Farmata Hai

Allah Insaan Sey Fermata Hey
Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna
Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna
Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Hud Na Ker Doon To Kehna
Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qadar Ki Hud Na Ker Doon To Kehna
Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna
Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna
Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna
Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna
Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ataa Ki Hud Na Kerdoon To Kehna
Meray Naam Ki Tazeem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Dun To Kehna
Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna
Mujhey yahayu ya qayoom Maan K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna
Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehna

· 1 Like · Jan 25, 2015 at 18:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Ghazal Noor

Ek Maa Ki Dua Iss Mulk K Har Bete K Naam

Dua hy us Mushkil kusha se k teri sarri mushkilat door hoon,....

Dua hy us Ghafoor-u-raheem se k tery ghunah bakhsh dy,....

Dua hy us Raheemm se k tujh pr apna reham karay,....

Dua hy us Rab-ul-alameen se k tujy apni hifz-o-eman mein rakhy,....

Dua hy us Gani se k tujhy achey darjy se nawazy,....

Dua hy us Malik-e-kainat se k tujhy har khushi dy,....

Ameen,Ya rab-ul-Alameen

· 2 Like · Oct 11, 2014 at 19:10
Category: relegious
 
examiner and student
Posted by pinky queen
Posted on : May 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS