Poetry / Political

Muzammil Shahzad

***Mohabbat***

Mohabbat oss ki soorat
pyasi pankhri k hont ko seraab krti hai
gullon ki aastino main anokhay rang bharti hai
sehr k jhatpatay main gungunati muskurati jagmagati hai
mohabbat k dino main dasht b mehsoos hota hai
kisi firdous ki soorat
mohabbat oss ki soorat

Mohabbat abr ki soorat
dilon ki sarzameen pe ghir k aati or brsti hai
chaman ka zrra zrra jhoomta hai muskurata hai
azl ki benamoo mitti main sbza sar uthata hai
mohabbat unko b abad or shadaab krti hai
jo dil hain qabr ki soorat
mohabbat abr ki soorat

Mohabbat aag ki soorat
bujhe seeno main jalti hai to dil bedaar hote hain
mohabbat ki tapish main kuch ajab israar hote hain
k jitna ye bhrakti hai uroos-e-jan mehakti hai
dilon k sahilon pe jama hoti or bikhrti hai
ye bilkul jhaag ki soorat
mohabbat aag ki soorat

Mohabbat khwab ki soorat
sitaray arzu k is trha se jagmagatay hain
k pehchani nhi jati dil-e-betaab ki soorat
mohabbat k shajr pe khwab k panchi utartay hain to shakhain jaag uthti hain
thakkay haaray sitaray jab zameen se baat krtay hain
to kab ki muntazir aankhon main shamen jaag uthti hain
muhabbat un main jalti hai
charag-e-aab ki soorat
mohabbat khwab ki soorat

Mohabbat dard ki soorat
guzishta mosmo ka istaara ban k rhti hai
shab-e-hijran ka roshan sitara ban k rhti hai
mundairon pe charaagho ki loen jab thartharati hain
nagr main na umeedi ki hawaen sansanaati hain
gali main jab koi ahat koi saya nhi rhta
dukhay dil k liey jab koi b dhoka nhi rhta
ghamo k boj se jab tootnay lagte hain shaanay to
ye un pe hath rakhti hai kisi hamdard ki soorat
guzr jatay hain saaray qafilay jab dil ki bsti say
fiza main tairti hai dair tak ye gard ki soorat
mohabbat dard ki soorat

Advertisement
· 1 Like · Dec 03, 2014 at 19:12
Category: political
 

Latest Posts in poetry

Sar ka Dard
Posted by amna omar
Posted on : Jun 27, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS