Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Bus Itna Yaad Hai

Chandni shab thi..
Hawa bhi sard thi…
Kuch bhi zehn mein nahi
Bus itna yaad hai…
Tumharay kaandhay per mera sar tha
Aur mere kaandhay per tumharay bazoo….!

· 2 Like · Nov 13, 2015 at 02:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Garmi Na Daikhon

Khayaal Howa Hi Tha Barf Parri Dam Bhar Mein
Zindagi Aik Jatan Mein Hey Khushk-O-Tar Mein

Khoobsurat Hy Ye Sardi Ya Hoon Deevana Mein
Daakhil Hooti Nahi Hy Baat Doosre Sar Mein

Shukr Khuda Ka Sabhi Aas Paas Aag K Paas
Tujhey Bhi Chaahta Khuda Sey Hoon December Mein

Yehi Tamaasha Jo Hey Deikhney Ko Kaafi Hey
Lagey Hy Eisa Ke Garmi Na Deikhhoon Lot Kar Mein.

· 1 Like · Nov 12, 2015 at 19:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Akela December

Sard Ratoon Ki Bhegi Tanhai,
Barasti Boond Ke Chottey Hi Sulagta Sa Badan,
Beeti Yadoon Beetey Lamhon Main Sulagta Hoa Dil,
Youn Guzre Saal Ke Sare Dukh Aur Saray Gham,
Akela Aik December Seh Leta Hai

· 1 Like · Nov 12, 2015 at 13:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Saal Ka Akhri Din

Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin

Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

Chalo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain

Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai


To kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain

Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main

Koyee Daam Roshi Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain

Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

· 1 Like · Nov 04, 2015 at 08:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Suno!

Suno!
December Ki Thatharti Hoi Shamien
Kohar Mein Lipti Dhundali Si Subhien
Darakhton Se Girtey Huay
Khushk Zard Pattey
Woh Gaon Ke Tamam Raste
Mohabbaton Ke Tamam Rishtey
Khiyaal Abad Karte Hain
Tumhein Sab yaad Karte Hain...!!!

· 1 Like · Nov 04, 2015 at 01:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Ab K Aao Tu

December Ab Kay Aao To
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana
Kay Jis Main Jugnoon Ki Kehkashaain Jhilmilaati Hain
Jahan Titlee Kay Rangoon Sey Fazaain Muskuraati Hain
Wahan Chaaron Taraf Khushboo Wafa Ki Hai
Aur Uss Ko Jo Bhi Pouron Sey
Nazar Sey Chhoo Gaya Pal Bhar
Mehek Uthaa

December Ab Kay Aao To
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana
Jahan Per Rait Kay Zarey Sitaarey Hain
Gul-O-Bulbul, Maah-O-Anjum Wafa Kay Istiaarey Hain
Jahan Dil Woo Samander Hai , Jiss Kay Kaee Kinaarey Hain
Jahan Qismat Ki Daive Muthiyon Mein Jagmagaati Hai
Jahan Dharkan Ki Lay Per BeKhudi Nagmein Sunaati Hai
December Hum Sey Na Poocho Hamaarey Sheher Ki Baabat
Yahan Aankhoun Mein Guzrey Kaarwaan Ki Gard Thehri Hai
Labon Per Al-Atsh Hain, Baton Mein Faaqey Pinaptey Hein

Muhabbat Barff Jaisee Hai Yahaan
Aur Dhoop Kay Khaitoun Mein Ugti Hai
Yahan Jab Subah Aati Hai
Tou Shab Kay Saarey Sapney
Raakh Kay Aik Dhair Ki Soorat Mein Dhaltey Hein
Yahan Jazboun Ki Tooti Kirchiyaan Aankhoon Mein Chubhti Hain
Yahan Dil Kay Lahoo Mein
Apne Laikhon Ko Dabo Ker Ham
Sunehray Khwaab Buntey Hein
Phir Unn Khwaaboun Mein Jeetay Hein
Inhi Khwaaboun Pey Martey Hein

Dareedah Rooh Koo Lafzoon Sey Seena Goo Nahin Mumkin
Magar Phir Bhi
December Ab Kay Aaooo Tu
Tum Uss Shehr-E-Tamanna Ki Khabar Laana.....!!!

· 1 Like · Nov 03, 2015 at 17:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Yeh Kaisa Alwidai Geet

Yeh Kesa Alwidai Geet Gaaya December Ne
Jatey Jatey Nargissi Mausam Ko Rulaya
Khain Pe Lalazar Banya
Gulab Motia Chambeli Se
Tulip Ki Larioon Se Goond Ke
Pyar Ke Rangoon Se Sainch Ke
Parioon Si Khawishoon Ke Jhoormat
Main
Hamare Laboon Pe
Duaaon Ke Alwidai Kalmaat
Tum Hamesha Raho Mere Saat
Marmareen Hatehlioon Pe Naii
Umeedoon Ke Roshan Chiragh
Sadioon Se Chand Ki Devi
Kaat Rahi Hai Charkha
Narm Narm Galoon Se
Prem Ki Dhank Se Dhunak Rahi Hai
Har Ane Wali Subha Ko
Rub Ne Dia Hai Sub Ko Ye Hi Pegham
Ajj Jati December Ki Sham
Insaanyat Ke Naam
Mohabbat Azaadi Shanti Amaan Hai
Sub Ki Jaan
Nafratoon Ko Kar Do Tammam
Choti Si Hasti Hai Ye
Pyar Se Basti Hai
Hamesha Se Hai
Hamesha Rahingain
Main Or Nelaa Asmman

· 1 Like · Nov 03, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Aa K Guzar Jaye Ga

December Aa Ker Guzer Jaye Gaa
Ik Pair Kay Na Jaaney Kitnay Pattey Giraa Jaaey Gaa
December Aa Ker Guzar Jaye Gaa
Chiriyaan Chehkein Gee Yakh Basta Raaton Main
Aur Pairon Pey Aa Ker Yeh Gumsum Rahein Gee
Na Koi Huri Shaakh Ho Gee
Na Koi Patta Ho Gaa
December Aa Ker Guzar Jaye Gaa
Kitney Parindey Be Ghar Ho Jaain Gey
Jalaa Dey Gee Unn Ko December Ki Thandi Hawa
Na Jaaney Kitney Khwaab Bin Taabeer Dhal Jaain Gey
December Aa Ker Guzar Jaye Gaa
Ik Pair Kay Na Jaaney Kitney Pattey Giraa Jaye Gaa

· 1 Like · Nov 03, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Usy Tu Mitt He Jana Tha

December K Haseen Din Thaay
Murree Ki Yukh Basta Fizaoun Main
Hamaray Chaar Haathoun Nay
Mujasma Ek Banaya Tha
Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni
Bari Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai
Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ossay Akhir Pighalna Tha
Ossay Tou Mitt He Jaana Tha

· 1 Like · Nov 02, 2015 at 23:11
Category: occassional-events
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS