Poetry / Love

Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoa
issay izn day k safar karay
issay hukm day k chal parray, meray aasmaaN say door ho
koyi chand chehra kushaa karay, koyi aaftaab zahoor ho
k nawa-e-chashm-e-kheyaal mein woh jo khwaab thay, woh dhuaaN hoye
woh jo aag thi woh naheen rahi, jo yaqeen thay woh gumaaN hoye
koyi dhund hai jissay dekhtay meri aankh baraf si ho gayi
woh ibarat-e-sir-e-loh-e-dil, kissi rabt say naheen aashna
k jo roshni thi kitaab mein wohi harf harf si ho gayi
koyi gardbaad uthay kaheen, kissi zalzalay ki namood ho
meri aankh mein yeh jo raat hai, meri umr si, issay taal day
meray dasht-e-raig-e-malaal ko kissi khushkhabri ka ghazal day
yeh falk pe jitnay nujoom hain teray hukm kay hain yeh muntazir
woh jo subh-e-nau ka naqeeb ho meri simt us ko uchhaal day

Advertisement
· 1 Like · Jun 19, 2017 at 17:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Wuzoo k Mustahbaat
Posted by Ashraf Shahid
Posted on : Jun 08, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS