Poetry / Love

teri Khushbu ka pataa karti hai
mujh pe ehasan hava karti hai

shab ki tanhai me ab to aksar
guftaguu tujh se raha karti hai

dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane me raha karti hai

us ne dekha hi nahi varna ye ankh
dil ka ehvaal kaha karti hai

mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo teraa ana karatii hai

dukh hua karta hai kuch aur bayan
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barsay to inayat us ki
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masla jab bhi utha chiraaGon ka
faisalaa sirf havaa karatii hai...!

Advertisement
· 2 Like · Nov 17, 2017 at 10:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Poetry / Love

Muzammil Shahzad

TERI KHUSHBU KA PATAA KARTI HAI

MUJH PAY EHSAAN HAWA KARTI HAI

SHAB KI TANHAI MEI AB TO AKSAR

GUFTAGU TUJH SAY RAHA KARTI HAI

DIL KO US RAAH PAY CHALNA HEE NAHI

JO MUJHAY TUJH SAY JUDA KARTI HAI

ZINDAGI MERI THEE LEKIN AB TO

TERAY KEHNAY MEI RAHA KARTI HAI

US NAY DEKHA HE NAHI WARNA YEH AANKH,

DIL KA EHWAAL KAHA KARTI HAI

SHAAM PARTAY HI KISI SHAKHS KI YAAD

KOOCHA E JAAN MEI SADAA KARTI HAI

Advertisement
· 1 Like · May 19, 2017 at 16:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS