Poetry / Love

Muzammil Shahzad

kehtay ho: "na den ge hum, dil agar para paaya"
dil kahaan ke gum keejay, hum ne muddua paaya
ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya
dard ki dawa paayi, dard be-dawa paaya
dost daar e dushman hai, aitmaad e dil maaloom
aah be-asar dekhi, naala narasa paaya
saadgi o purkaari, be-khoodi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurrat aazma paaya
ghuncha phir laga khilnay, aaj hum ne apna dil
khoon kiya hua dekha, gum kiya hua paaya
haal e dil nahin maaloom, lekin is qadar yaani
hum ne baarha dhoonda, tum ne baarha paaya
shor e pand e naasah ne zakhm par namak chhirka
aap se koi poochhay: tum ne kya maza paaya?

Advertisement
· 1 Like · Jan 12, 2018 at 19:01
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS