Poetry / Love

Muzammil Shahzad

koi jangle main ja thehray
koi basti main bas jayey
Mohabbat Sath hoti hay!

Mohabbat khusbowon ki lay
Mohabbat mousamoo ka dhun
Mohabbat Absharoon kay nikhertay paniyon ka munn
Mohabbat jangloon main raqs karti morni ka tann

Mohabbat barf parti sardiyoon main dhop banti hay
Mohabbat chilchilatey gram sehrawon main thandi chawon ki manind
Mohabbat ajnabi duniya main apney gawon ki manind

Mohabbat dil !
Mohabbat jaaan !
Mohabbat Rooh ka Darmaan !
Mohabbat Morti hay .
Aur kabhi jo dil kay mandir main kahin par toot Jayey tou
Mohabbat Kanch ki Guriya?
Fizaawon main kisi kay hath say Gar chhot jayey tou
Mohabbat Aabla hay karb ka
Aur phoot jayey tou ..
Mohabbat Rog hoti hay
Mohabbat Sog hoti hay
Mohabbat Shaam hoti hay

Mohabbat Raat hoti hay
Mohabbat jhilmilati Aankh main barsaat hoti hay!
Mohabbat Neend ki Rut main Haseen Khaboon kay rustoon par
Sulagtey , Jaan ko Aatey, Ratjagoon ki Ghaat hoti hay
Mohabbat Jeet hoti hay
Mohabbat Maat hoti hay
Mohabbat Zaaat hoti hay

" Mohabbat Zaat ki Takmeel hoti hay"

Advertisement
· 1 Like · Jan 03, 2015 at 13:01
Category: love
 

Latest Posts in poetry

ye pakistan ki kaunsi jaga hai?
Posted by Aleezay Abbasi
Posted on : Mar 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS