Poetry / Love

Khoobsurat Ek Misali Ghar Banana Hai Mujhe
Ek Ajooba Ahal-e-Duniya Ko Dikhana Hai Mujhe

Housla Himmat Ki Buniyadoun Me Pathar Baandh Kar
Azm Wo Istaqlaal ka Paya Jamana Hai Mujhe

Mahr Ka Paani, Wafaa Ki Reet, Ganj Isaar Ki
Pyaar Ki Eintou Se Deewarein Uthana Hai Mujhe

Khidkiyaa Iqlaas Ki, Darwaze Husn-e-Qalq Ke
Inn Pe Parde Muskurahat Ke Lagana Hai Mujhe

Dard Mandi Aur Silaa Rehmi Ki Roshan Daniyaa
Farsh Salim Qaaksari Ka Bichana Hai Mujhe

Ilm Ki Hongi Kaamanein Aur Aquwat Ke Sutoon
Saare Ghar Me Ilm Ki Shamein Jalana Hai Mujhe

Chatt Ki Kadiyaa Fahem Ki Houngi Salaqein Raham Ki
Jhoomaroun Se Shukar Ki Chatt Ko Sajana Hai mujhe

Raahdaari Chain Ki, Kamre Sukoon-e-Qalb Ke
Ek Waseh Dalaan Chahat Ka Banana Hai Mujhe

Seedhiyaa Zindadili Ki, Khushdili Ka Tabdaan
Har Qadam Par Naksh Fitrat Ke Bithana Hai Mujhe

Balcony Inksari Ki, Jharoke Sabar Ke
Inn Me Kangoore Sharafat Ke Lagana Hai Mujhe

Rang O Rougan Burdbaari Ke Dar O Deewar Par
Toghre Allah Aur Muhammed Ke Sajana hai Mujhe

Chaar Deewari Haya Ki, Aur Gate Qair Ka
Peid Ekjahiti Ke Aangan Me Lagana Hai Mujhe

Kiyariyan Itayat Ki Hongi, Belein Istaghfaar Ki
Husn Zann Ke Maiz Honge, Kursiyaa Tahzeeb Ki

Iss Tarah Deewan Qane Ko Sajana hai Mujhe
Khoobsurat Ek Misaali Ghar Banana Hai Mujhe...

Advertisement
· 1 Like · Apr 25, 2015 at 17:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Haha True
Posted by Hafiz Usman
Posted on : Dec 22, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS