Poetry / Love

Meray har amal ko nazer main rakh, meri chahatoon ka silla na dey
Main chragh-e-aakhir-e-shab sahi, mujhey berukhi ki saza na dey

Mujhey dushmanoo sey gila nahi, sila dostoon sey mila nahi
Mujhey jitna jeena tha jee chukka, mujhey aur jeenay ki dua na dey

Ye gaye dinoo ki baat hai, issi rah pe tum meray saath thay
Main naye safar pe hoon ga gamzan, mujhey duur jaa kay sadaa na dey

Mera hurf hurf hai dil-nasheen, kahin tu tau es main makeen nahi
Ye junoon-e-shooq-e-sukhan kahin, tera chehra sub ko dikha na dey

Ye talaash-e-baab-e-wafa sufer, mujhey tum sey duur tha lay gaya
Palat ker aaon ga yaad rakh, tera shehar mujh ko bhula na dey

Main bhula nahi bura sahi, mujh sey koi gila sahi
Tera baat baat pe roothna, naii rah mujh ko dikha na dey...!

Advertisement
· 1 Like · Dec 06, 2017 at 03:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Gawadar Beach.Pakistan.
Posted by memoona aqeel
Posted on : Nov 28, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS