Poetry / Love

Muzammil Shahzad

mauj e khayaal, nagahan, aai aur aake le gai
aur na jaaniye kahaan, mujh ko bahaa ke le gai

sahn e chaman mei ab ke bhi,rangon ki thein numayeshein
titli paron pe, meray kuch sheir likha ke le gai

aansu ke boond boond mei, taizabiyat thi kis qadar
haathon mei jo rachi hui, mehndi churha ke le gai

taigh e nigaah kar gai, dil ke nagar mei qatl e aam
aur jo bachay thay, zulf unhein, qaidi bana ke le gai

ab tou yaqeen aagaya, zulm mizaaj thi hawaa
ghar ki jo saari roshni,shamayein bujha ke le gai

teri gali mein jaan e jaan, main jo gaya na tha,tou phir
kya koi sar phiri hawa, ghar se urha ke le gai ??

Advertisement
· 1 Like · Mar 05, 2015 at 02:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

'Kaum De Heere' Title Song
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jan 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS