Poetry / Love

Mohammad Asif

soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekha tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz oosey hum ne likha kuch bhi nahi

ik shaam ki dehleez per baithey rahay woh dair tak
ankhoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi

ehsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yadon ke siwa ghar mien raha kuch bhi nahi,

Advertisement
· 1 Like · May 02, 2016 at 17:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS