Poetry / Love

Main aiyna tha, woh mera khayal rakhti thi,
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi..

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,
Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

Woh mere dard ko chunti thi apni pooron say,
Woh mere wastay khud ko nidhal rakhti thi..

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,
Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..

Duain us ki balaoon ko rook laiti thin,
Woh mere chaar so hathon ki dhaal rakhti thi.

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi
.
Bichar kay uss say main dunya ki thokaron mein hon Mohsin,
Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 17, 2017 at 23:09
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Parosi k Huqooq
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Sep 20, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS