Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko tez kya hui
jitne wafaa kay patthar the saare pighal gaye

Waado kay taare raato se baahar na jaa sake
iradon ke din nikalne se pehle hee dhal gaye

Wafaaon ke rang shabnam kay qatroo ne dho diye
mohabbat ke phool jazboo ki 'shiddat' se jal gaye

Tanoo ke teer duniya kee kamaano pe jab chadhe
sabar ke daaman hathoo se ek dum phisal gaye

Aankhein khuli to khowaboo ko bura laga magar
kuch dair wo reh ke khafa humse wo khud hi behal gaye

Pehle pehal to ajeeb lage badle huwe chehre
phir yu huwa k waqt ke saath hum bhi sambhal gaye

Advertisement
· 1 Like · Mar 20, 2017 at 06:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Normal People VS Engineers
Posted by arsalan ahmed
Posted on : Aug 02, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS