Poetry / General

Muzammil Shahzad

Labon Pay Rukti, Dilon Main Sama Nahi Sakti
Wo Ak Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti

Jo DIL Main Ho Nazar -e- Ghum Tu Ashq Paani Hay
Keh Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti

Yaqeen, Gumaan Say Bahar Tu Ho Nahi Sakta
Nazar Khayal Say Aagay Tu Jaa Nahi Sakti

Dilon Ki Ramz Faqat Ehal -e- Dil Jantay Hain
Teri Samajh Mai Meri Baat Aa Nahi Sakti

Yeh Souz -e- Ishq Tu Goongey Ka Khowab Hay Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bata Nahi Sakti

Simat Rahi Hay Meray Baazo'on Kay Halqay Main
Haya Kay Boojh Say Palkein Utha Nahi Sakti

Jo Keh Raha Hay Sulagta Howa Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Or Chupa Nahi Sakti

Ak Aisay Hijar Ki Aatish Hai Meray Dil Main Jesey
Kesi Wisaal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti

Tu Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pay Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar Tu Jaa Nahi Sakti

Advertisement
· 2 Like · Mar 07, 2016 at 05:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS