Poetry / General

Shahid Siddiqui

Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Chaha Hamein Pyaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Likhi Gayi Naseeb Mein Kuch Aisi Hijratein,
Har Ajnabi Dayar Ki Had Se Guzar Gaye,

Jagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Ki Aarzu,
Jab Mausam-E-Bahar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ab Zakhm Haaye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho,
Ye Zakhm To Shumar Ki Had Se Guzar Gaye,

Teri Nigah-E-Mast Se Hum Itni Pee Gaye,
Itni Ke Har Khumaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gam Koi,
Jaise Ke Jeet Haar Ki Had Se Guzar Gaye,

Hasrat Se Mauj-E-Gam Bhi Hamein Dekhti Rahi,
Hum Behr-E-Kinaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Aati Hai Saaf Saaf Nazar Gam Ki Manzilein,
Ye Qaafle Ghubaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Wo Log Roz-E-Qayamat Se Kya Darein,
Jo Tere Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye...

Advertisement
· 1 Like · Feb 07, 2018 at 03:02
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Hangover Audio Song - 'Kick'
Posted by Bollywood Music Videos
Posted on : Dec 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS